المدة الزمنية 10:13

421 साल पुरानी Painting जो Aliens का राज़ खोलता है | क्या आपको कुछ दिखा Aliens of The Past Ep 1

328 344 مشاهدة
0
26.6 K
تم نشره في 2021/05/09

421 साल पुरानी Painting जो Aliens का राज़ खोलता है | क्या आपको कुछ दिखा ? Aliens of The Past Ep 1 Subscribe to our new channel: /iamkaushik fb page: https://www.facebook.com/antarikshTV/ instagram: https://www.instagram.com/antariksh_tv/ “Disputa of the Eucharist” Ye ek painting hai, jise 16th century ke ek Italian painter Ventura di Archangelo Salimbeni ne banaaya tha. Is painting ko “The Glorification of the Eucharist” ke naam se bhi jaana jaata hai. Christians me Eucharist wo ceremony hoti hai, jab sabhi log milkar Last supper ko yaad karte hue khaana khaate hain. Last Supper hum us event ko kehte hain, jisme apne crucifixion ke pehle Jesus Christ ne Jerusalem me apne 12 chief disciples ke saath baithkar bread aur wine ka meal liya tha. ye painting usi event ko glorify karti hai. Is painting ko teen alag alag parts me banaaya gaya hai. Iske neeche waale do parts to bilkul normal najar aate hain lekin jab hum iska sabse oopar waala part dekhte hain, to ye kaafi interesting aur mysterious hai. Isme Salimbeni ne Holy Trinity ko paint kiya hai. Holy trinity ka matlab tridev hota hai. Jaise hinduism me brahma, vishnu aur mahesh hote hain. Christianity me Holy Trinity father, son aur holy spirit ko kaha gaya hai. Yaha par Son ke taur par Jesus christ bane hue hain, Holy spirit yaani ki pavitr aatma ke roop me hame dove dekhne ko milti hai aur father wo hain, jo asal me god hain, aur jinki aatma Father, son aur holy spirit teeno me basti hai. Written, Edited and Voice by: [Shubham Jain, Vikash Kumar & Kaushik] https://www.facebook.com/Kaushik.Antariksh https://www.instagram.com/luck_kaushik http://www.instagram.com/itsmesj25 https://www.instagram.com/kumarvikashkr/

الفئة

عرض المزيد

تعليقات - 1184